Jahaan Sooraj imaaraton ke peechhe nahin doobta..
Nadiyaan ruk-ruk ke, tham-tham ke nahin behti..
Jahaan Jungalon ko koi khauf nahin
leharon pe koi zor nahin,
udaanon pe bhi rok nahin…
Jahaan Toote hon saare daayare,
aur mit gayi ho sari haddein…
Chal, Aise Kal ki oar chal…
Chal, Aise Kal mein nivesh kar…
Chal, Aise Kal mein pravesh kar…

 

Boats

Jahaan darr nahin ajnabiyon ke aane ka…
Jahaan fiqra nahin kuch chale jaane ka…
Apne aur paraayo ke saanche naa ho
Sahi aur galat ke khaanche naa ho …
Naa kisi ki muskaan se koi dil jale…
Naa  aansuon pe koi prashna kare …
Ehsaaso ki zameen khilkhilaati ho jahaan…

Chal, Aise Kal ki oar chal…
Chal, Aise Kal mein nivesh kar…
Chal, Aise Kal mein pravesh kar…

– Anshumali