“VRISHTI !! VRISHTI MAMMMMM !!! VRISHTI !!!! VRISHTI MAAAMMM!!!!!” ka loud cheer, jab mere kaano mein pada, toh laga…Oh God !! Ye apni Vrishti ko kya ho gaya ? kis se kushti ladne lagi ? Main Girl’s Locker room se baahar bhaagi… Vrishti meri best friend thi aur uske naam ki cheering sunn naa lagbhag impossible tha, kyunki wo badi hi introvert kismki thi. college ki un popular ladkiyon mein se nahi thi, jiske liye girl’s locker room ke baahar bheed lagti thi… Par main galat thi.. Baahar pahunch ke jo nazaara dekha to bilkul hairaan reh gayi… Mujhe lagta tha ki Vrishti ki ek main hi blind supporter thi, lekin usdin jab palat ke dekha toh boys hostel ki balcony pe uske fans hi fans the… juniors aur humare batchmates meri chubby si dost Vrishti ko motivate kar rahe the, cheer kar rahe the…
Kyun ??
Bataati hoon… College Campus ki boundary wall koodne ke liye …
Kyun?
Batati hoon!
Kyunki Hamaare College ke har student ki aazaadi se mulaaqaat boundary wall ko kood kar hi hoti thi…Par Ye wall koodna itna asaan nahi tha…. Aur hamaari chubby cheeks dimple chin toh already deewaar pe chadh kar baithi thi aur rona gana kar rahi thi ki agar voh kuddi toh uska marna pakka hai.
Kyun?
Kyunki ye deewaar sirf college ki taraf se choti thi par bahar se bahut unchi… uss taraf koodna na ek professional stunt man ke pet pe laat maarna tha… possible hi nahin tha…Par Vrishti wahaan chadhi baithi thi, Bahar ki taraf usse kooda nahin jaa raha tha, aur andar koodne ka to chance hi nahin tha, baithe bithaaye loser ka tag lag jaata… wo bhi itni cheering ke baad… Apni friend ke rescue ke liye main deewaar ke paas gayi aur poochha
“Abey yeh kya kar rahi hai? Pagal hogayi hai kya? Deewaar kyun kudd rahi hai?”
“Yaar bahut neend aarahi hai. Aaj papa ki day shift hai, Maa bhi ghar pe nahi hai…Socha Pakaau (a professor’s nick name) ka bakwaas lecture attend karne se better ghar jaake sona hoga… Kameene Shreyas ne mujhe chadhaa diya aur mujhse pehle hi kood gaya”
Tab tak Shreyas ki aawaaz sunaayi di… “ Ae football II kood jaa… catch kar loonga”
“Foot Ball bola, ruk neeche aake bataati hoon…”
Wo gusse mein koodne ko hui par neeche dekh ke ruk gayi… maine use normal karne ke liye kaha…
“VRISHTI, tu mujhe chod kar kood rahi hai? Aaj dikha di tu ne apni dosti, mujhe akele uss Pakaau ke bill mein chod diya….kitni kamini hai tu !!!
“Abey yaar! Tera attend karna zaroori hai…Teri attendance low hai… Nahi karegi toh detain ho jayegi aur detain hui to uncle tujhe kachcha kha jaayenge…Unko iss age mein cannibal banana achchha thode hi lagega..” Vrishti ne apni style mein ek smile maari aur… tu jaa naa yahaan… se main koodti hoon …”
“Par tu yahaan se kyon kood rahi hai… ye bahut unchi hai,,, Dusre se kood naa…”
“ thank you !! chadhi ispe hoon, aur koodoon us wall se ”
“ are isse utar jaa… aur udhar se kood jaa….Udhar saara maamla set hai…” Maine use utaarne ke liye haath badhaaya toh usne jhatak diya…
” Kya set hai ??? Bas taar aur kaanch hi toh tode hain…Vahan se nikalne mein bahut danger hai…Uniform ka phatnaa yaa daag lagna pakka hai… agar inn mein se kuch bhi hua toh mummy toh ulta taang dengi mujhe…”
“Risk hi nahin lena hai toh phir koodne kisne kaha”
“Are maine socha shreyas ke saath yeh diwar koodd jaati hoon, koodne mein company bhi mil jaayegi…..par yahan toh scene hi alag hai yaaaaarrrrr, yeh nalaayak kab ka kood gaya par mujhse nahi ho raha hai yaar ”
” Nahin ho raha hai..matlab kya… aankh band karke kood jaa… varna kisi faculty ne dekh liya toh princi (principal) ke cabin mein bandaro ki tarah koodna padega”
“Abey koi faculty dekhe yaa naa dekhe inn logo ki cheering sunn kar ke koi aahi jaayega, yeh saale log motivate karne ke bajaaye fasaa rahe hain mujhe….Chup baithne bol na inn kameeno ko”
“main kya bolu? Khush hain Sab ki aaj aazaadi se mulaqaat ho rahi hai teri”
” aazaadi se nahi bhagwan se mulaaaat hogi meri… ab to pakka hai..”
“ Soch matt Vrishti … Kood jaa… aaj tera asli exam hai….isi wall ko kood kood kar kitne log Taj, Oberoi, Hyatt ke GM, Executive Chef, VIP bane hain … tu bhi ban jaayegi !!!”
Vrishti bhadak gayi…wo mujhe gaaliya diye jaa rahi thi… aur main has rahi thi…Tabhi kisi ne mujhe aawaaz lagaayi…aur achaanak cheering bhi band ho gayi… maine palat kar dekha toh humare Acadmic incharge …Kala sir!” Vrishti deewar pe baithe baithe hatho se apna muh chupa rahi thi….
Kala sir ne mujhse poochha ” kood rahi ho?”
Mere muh se nikala …”Nahi sir! Sports day ki tayari kar rahe hain.”
Maine apna sir peet liya ye mere muh se kya nikala….
Sir hase aur bole ” Vrishtttiiii kood jaa! Kala Sir ne dekh liya toh bawaal ho jaayega…
Vrishti ko kaato toh khoon nahin… usne darr ke Kala Sir ko dekha ….
Kala Sir hase aur bole, “ Ab tak toh Kala Sir ne kuch nahin dekha, par andar koodi to zaroor dekh lenge…”
Yeh bolkar Kal Sir mud kar jaane lage… aur Vrishti ne naa aav dekha naa taav chhalaang laga diya….”
Achanak se sannata saa chhaa gaya…. Vrishti ki koi aawaaz nahin aayi… maine pehle deewaar ki oar dekha… phir cheer kar rahe un ladko ko… sab ke chehre par ek darr saa chhaa gaya tha… kahin kuch hua toh nahi…. mujhe samajh mein nahin aa raha tha kya karein…. Main wall ki oar badhi…. Tabhi doosri side se Vrishti zor se chillaayi ….
Kya ???
Bataati hooon…..
Wo chillaayi… “ Are !!! Main zinda hoon!!!!!!”
Meri saans mein saans aayi….Maine haste hue aawaaz lagaayi…
“Aazaadi mubarak ho!!!”
aur palat kar hostel ke taraf dekha aur hath hila kar yeh elaan kar diya ki mission successfully accomplish ho gaya….
Sab ne taaliyon se apni khushi zaahir ki aur apne apne lectures ke liye nikal gaye..
Main mudi to Kala Sir khade the, poochha, “Kya kaha tumne ?”
Maine seham kar kahaa, “Aazaadi Mubarak ho”…
Wo mujhe dekh rahe the… main darr gayi ki kahin ye vaakai mujhe aazaad naa kar dein college se…
(to be continued…)
-Urvashi
Leave A Comment
You must be logged in to post a comment.