Zindagi ke kai dwar khole
Kai raah dikhaayi
Jab koi museebat aayi
To jhat band kar khud ko…
Kaat diya zamaane se…
Aur khade ho gaye
Rok kar raasta

latka kar apni saankhalo se
Aage peechhe khoob jhulaaya
Der raat kabhi jo lauta
Apne band tevar se
Khoob rulaaya

Umra ho gayi iski,
Par ab bhi tan kar khada hai
Aate jaate ab bhi khabar leta hai…
Kahaan jaa rahe ho ?
Kahaan the ab tak ?
Ye koi waqt hai baahar nikalne ka ?

Ye darwaaze kal bhi
Pita se lagte the….
Ye aaj bhi…
Pita se lagte hain…

– Anshumali Jha