IHM Diary – 9

IHM mein 365 din pyaar ki hawa chalti rehti hai aur apne aap mohabbat ke phool kahin naa kahin khilte rehte hain…Pyaar ki isi hawa ne humari Oppo ke jeewan mein bhi thoda adventure daal diya tha… Kaise?

“Uru, Uru!!!! Sunn naa…..” choti si, chubby si Oppo corridor ke ek side se bhaagti hui mere pas aa rahi thi….badi excited thi…. itni ki bhaagte hue apne pairon pe control nahi kar paayi aur jaa kar ek pillar se takra gayi, lagta hai pairon pe break lagane mein thodi deri ho gayi … “ Oppo oooo!!!!! sambhal ke!!” main Oppo ki taraf bhaagi “tu theek toh hai ?”

“Haan, haan…..main theek hoon….yeh sab chhod mujhe tera favour chahiye…”

“Favour? Kaisa favour?”

“Yaar agar tune meri help kar di naa… toh… matlab main bata nahi sakti ki tu meri zindagi mein kitni mahan ban jayegi, matlab main tere ehsaano mein itni doob jaungi, jitni main Indian Ocean mein kudke bhi nahi dubti. Soch itni doob jaungi main….please meri help karde…” Oppo hath jodd ke bachcho si zidd karne lagi…

“Arey woh sab theek hai par tujhe chahiye kya??? ”
“Tawa!”
Meri shakal pe yeh sunke ek bahut hi weird si reaction aayi
“Tawa?” maine upar se neeche Oppo ko dekha

“Tujhe mujhse Tawa chahiye?” “Haan haan!! tera tawa mere naam karde Uru please….bas ek baar tera tawa mera hogaya toh mere sapne sakar hojayenge….”

“College pee-vee ke toh nahi aayi haina….kaisi behki behki baatein kar rahi hai? Aur mera tawa, tera sapna…. kya hai yeh ? Seedhe seedhe bata tawa kyun chahiye ?”

“Food fest ke liye!”

“Kya !!! Food fest mein mera tawa tujhe exhibit karna hi..Ye tera sapna hai?”

“Nahi yaar ! pagal hai tawa kyun exhibit karungi main khaane ka stall laga rahi hoon….Tere tawe pe fry kar karke main khaana beechungi aur paise kamaungi…”

“Waaahhhh!!! ”

“Yaar tere mere beech ki baat…mujhe naa paiso ki sakht zaroorat aa padi hai”

“Kyun? Kya hua? Kisse udhaar liya hai tune…”

“Abey pagal hai kya? Inkar ki tarah negative baat kyun kar rahi hai,aur main kyun kissi se paise udhar lungi…Kaushal ka birthday aa raha hai toh uske liye kuch special karna hai, aur woh kuch special karne ke liye mujhe bahut saare paise chahiye… Toh socha apni mehnat ki kamaai se, khana bech kar, Kaushal ka birthday celebrate karun…. Tu toh jaanti hai na ki Kaushal mera first year se hi crush tha… Ab Finally wo mera boyfriend bana hai toh uske special day pe bataana toh zaroori haina ki woh mere liye kitna special hai….”

“Ohhhh! Toh yeh baat hai….koi nahi yaar mera tawa tera tawa….jab bhi chahiye hoga, ghar aa jaana lene.”

“I love you yaarrrr….tu toh best hai…..tera ehsaan kabhi nahi bhulungi…”

“Bas kar Oppo! Itna bhi filmy mat bann….”

Kuch dino baad Oppo ne mujhse tawa lekar apna stall food fest mein khol diya….Yeh food fest ke teen din asaan nahi the. Oppo ne apni neend, khaana, peena sab haraam kar diya sirf aur sirf uske pyaar Kaushal ke liye…

Jahaan sachcha pyaar hota hai, wahan success apne aap chal kar aati hai…Oppo ka stall grand success tha. Sab ne Oppo ke haath ka banaya hua khaana bahut pasand kiya….Aur Oppo ne apna saara profit Kaushal ke birthday ko grand karne mein laga diya…..

Us ne Kaushal ko 22gifts dene ka plan kiya…
22 gifts kyun?
Kyunki Kaushal was turning 22.
Oppo ki mehnat dino ki nahi mahino ki thi….

“Sunn Nair! Tu Kaushal ka dhyaan bhatka main uska phone chura ke check karti hoon ke uske online shopping ke wish list mein kya hai…” Oppo ne Kaushal ke roomate urfff bestfriend Nair ji se kaha…
Aise choti moti choriyaan victim ke liye kitni beneficial hoti hain, mujhe yeh us din realise hua….Kaushal ki phone ki chori ne toh use gham ke bajaaye 22gifts ki khushiyaan de di….

HBD Kaushal

Finally Aaj hi ka woh din tha! 28th March!!! Jiska Oppo Kaushal se zyada intezaar kar rahi thi…

Raat ke 12baje Oppo ne Kaushal ka ghar candles, balloons, phoolon se sajaaya….uske liye cake managaya, Kaushal ke saare friends ko invite kiya aur Kaushal ko surprise diya…

Aisa vaisa surprise nahi….Humari romantic Oppo ne specially Kaushal ke birthday ke liye guitar bajaana seekha….

Kaushal ne room mein entry maari….sirf candle jal rahe the aur Oppo sundar si black dress pehne hue Kaushal ki aankhon mein aankhein daal kar guitar bajaa rahi thi…

Happy birthday to you!!!!! Sab shor machcha rahe the, gaana gaa rahe the….Kaushal ki khushi ki koi seema nahi thi…

“Oppo thank you so much! Main bata nahi sakta hoon, how much all these things mean to me….”

Oppo ne smile karke Kaushal ko galle lagaya aur mann hi mann mein soch rahi thi…. “Kaushal meri jaan yeh toh shuruaat hai abhi toh pure din ke surpise aane baaki hain….”

HBD Kaushal

Agli subh….

“Hello…hiieee baby! Ek kaam karo mere ghar aa jao aaj lunch aapke liye main banati hoon…” Oppo ne subh Kaushal ko call kiya …

Kaushal taiyar hokar  Oppo ke ghar pahunch gaya….

Tabhi darwaaze ki ghanti baji…

“Kaushal please darwaaza khol do, main khana bana rahi hoon..”

“Haan rukk kholta hoon, shayad Nair hoga…”

Kaushan ne Darwaaza jaise hi khola toh ek haath mein 3 balloons aur ek haath mein Kaushal ka fav pizza liye Dominos ka delivery boy khada tha. Full excited hoke usne Kaushal ko wish kiya…

“Happy Birthday Sir!!!!”

“Thank you sir!!!”

Kaushal blush karte hue Oppo ki taraf ghooma….

“Yeh tera plan tha naa….kitne pyaar se usne wish kiya….thank you Oppo…”

Oppo ke ghar jaise hi pizza date khatam hui….

“Sunn Kaushal! Hum niche chale mujhe Bikaner se kuch khareednaa hai…”

“Haan haan! Chal naa….”

Kaushal ne apne chappal jaise hi pehne….

“ Abey! Yeh kaisa chapal pehen raha hai….tera birthday hai aur itne gande wale pehen raha hai….very bad!”

“ Abey kaha se pehenu yahi toh hai ek iklauta chapal…”

“Kisne kaha? Yeh lena!”

Oppo ne Kaushal ko woh chappals gift mein di, joh woh kab se lene ki soch raha tha aur uske wish list mein pada tha, par kabhi shopping cart ke final payment list tak pahunch nahin paaya tha…

Kaushal muskuraya….

“Pagal, tujhe kaise pata mujhe yeh chappal kabse chahiye tha, pata hai….i love you Oppo….Thank you so much!”

Bas yoon hi pyaari pyaari 22 surprises… kuch kuch meethe meethe yaadgaar incidents banaake Oppo ne Kaushal ka Birthday Surprise day mein badal diya….

“ Kaushal 8 baje mere ghar pe aa jaana hum ek sath dinner karenge…”

“Oppo yaar! Thank you so much….yeh meri life ka best birthday hai Thank you for making it so special….I love you so so so so so much…..”

“I love you too Kaushal….tere liye itna toh banta hai! Chal ab main jaa rahi hoon shaam mein time se ghar aajana….”

HBD Kaushal

Oppo ne Kaushal ke liye special Gujarati Khana banaya…..pure room ko flowers aur candles se decorate kiya jaise koi bollywood film ka candle light dinner ka shot ho…

Oppo taiyar hoke Kaushal ka wait kar hi rahi thi, jab darwaaze pe ghanti baji….

Oppo ne darwaaza khola toh woh  ghar dekh ke hairaan reh gaya….

“Oppo! Meri jaan bas kar ab! Kitna karegi yaar….tu ne itni khushiyaa de di hain, ki shayad apni poori zindagi ki saari khushiyan milaa doon toh bhi itni nahi hogi..”

“Kaushal tere liye toh jitna karu utna kum hai….tu meri zindagi hai yaar! I love you Kaushal…”

“I love you too..”

Bas Oppo ka romantic dinner date bhi successful ho gaya….

Ye pyaare pyaare gestures life mein kitni khushiyan bhar deti hain, iska andaaza toh Oppo ne aapko aaj kar diya…….

Aap bhi kissi ki life mein aisi khushiyan bhariye jaise humari Oppo ne bhari…

A very Happy Birthday Kaushal…

by Urvashi